By V. Shruti Devi (quill-o-the-wisp)
Kya waakahi
yeh
Ek khabar hai
Ya nazariyaat
kee honee unhonee
Badaltey idaarey
Adaalat kinaarey
Padee huey jamooriyat.
Junoon key zarooriyat
Jalsey mein phirey
Mashallah girey
par quam ney jashn manayee
Ab jashn aur bhee baaki hai
Jab insaaniyat aur insaafiyat
Chaa jaayegi har monsoon key gulley mein
Tabh Jashn-e-Jannat kahengey hum.
Us mannat ko poora
samjheyngey hum.
Aaj Ajmer Kee Soch (Today, Thoughts of Ajmer / Think of Ajmer Today)
Mukhtalifiyat sey
aa pahunchey
aa pahunchey
ek khazaaney par.
yeh
Ek khabar hai
Ya nazariyaat
kee honee unhonee
khawaab?
Adaalat kinaarey
Padee huey jamooriyat.
Junoon key zarooriyat
ho toh aisee.
Mashallah girey
par quam ney jashn manayee
beshak.
Jab insaaniyat aur insaafiyat
Chaa jaayegi har monsoon key gulley mein
Tabh Jashn-e-Jannat kahengey hum.
Us mannat ko poora
samjheyngey hum.
No comments:
Post a Comment